padhna usse tum
masoomiyat ki kalam se bekhre usme jo moti
sawarna usse tum
likhon mai...
sawan ki bel se bandha hai mene jo jhula
bethna us par tum
woh bageeche ki himmat se bana hai jo phool
seench na usse tum
meri badi ki khaan se nikla hai jo heera
tarashna usse tum
sannate ki rahon me bhatka hai jo dil
raah dikhana usse tum
dard ki aagosh me simta hai jo man
marham dena usse tum
madhosi ki alam me toote hain jo khowaab
bhula dena unhe tum
chahaton ki nighahon se saunpi hai jo rooh
amar karna usse tum
pyara jawaab fir kasam hai tum jo dena
intezaar na karwana usme tum
4 comments:
my god.....aap itnaaaaaaa achhaaaaaa likhti hain....main to fan hun...bada wala....bas thode se typos hain..!
maza aa gaya padhke..!
kya khub likhe hain apne...ke hum ek ek labz ko mehsoos kar sakte hain...bahut badiya...Excellent!
@Ani:
to ap hamare 'fan' hain... tabhi to hum soch rahe hain itni thandi thandi hawa kahan se aa rahi hai..
:-)
thanks! tum hamesha humme muskorane per mujhboor kar dete ho... tx again!
@kalyan:
apki hosla afzayi ke liye shukria!
thanks!
Post a Comment