in nanhe podhon ko dekha hai tumne
Jab subha pheli aos ki bundain inhe rangegi
tab chatkegi ik sundar si kali
aur bhikregi muskaan bagiya ki
jab phoolon ki madhu me dubega mali
tab mehkega har maala ka phool
aur sajega yuwan shuq jode ka
jab raat ki chandni sharmili mehkegi
tab sang hoga yaadon ka saath
aur shenai dur kahin bajegi
jab dekhegi kali yeh naya savera
tab ithalake bolegi in bundon se
jao dhond lao koi nanhi kali
jo aas lagaye dekh rahi subha ki
tab tumne mujhe ranga tha
aj fir sajao aos ki hiron jessi bundoon ko
aur karo tum in pyase podon ko zara rangeen....
(c) kagaz ki kashti
2 comments:
"aj fir sajao aos ki hiron jessi bundoon ko
aur karo tum in pyase podon ko zara rangeen"
Beautiful! Bahut khoob
thanks!
tum se accha nahin lekhte, abhi shikh rahe hain... :-)
tumhari "Gulfaam" humme pasand hai!
Post a Comment