Tuesday, February 26, 2008

Sailing in Arabian Sea

The GATEWAY OF INDIA, Mumbai, India
My wish... (my yacht....) :-)
The Dockyard
The Taj Mahal Palace and Hotel, Mumbai

sagar kinare sang tumhare
chal diye maujoun sahare

kashti dole tu mujhe chede
mai liptoun hawa thithore
kahe na samjhe aao suniye
aa leja mujhe ab kahe tarse
teri kasam sagar se
gherrah pyar mera
tu kion na jaane
pagli kahe duniya mohe saare

sagar kinare sang tumhare
chal diye maujon sahare

dur koi desh tumhare
kion kashti tez na jawe
dushman bane majhi chahe
mai sang sagar tumhare galiyare
desh pani laage khaare khaare
aa laut chalen sahej hamare
meet tum saath kahan re
teri aas ab na rulaye

sagar kinare sang tumhare
chal diye maujon sahare

(c) kagaz ki kashti

Photos clicked on 9th Feb 2008

Sunday, February 17, 2008

Kaisa fasana....

Khusiyon ka kaisa hai yeh fasana
palko pe hain moti
aur ease mai pyar ka dastakana
khawabon ka kaisa hai yeh fasana
karvaton pe hain na chain
aur needon mai gharonde banana
umeedon ka kaisa hai yeh fasana
raatein sayah hai kali
aur zindagi mai rangon ka barasana
chahaton ka kaisa hai yeh fasana
madhos akele hain chale
aur manzilon ke khatir Kahan jana ....

(c)kagaz ki kashti 23rd Sept 2007